Urdu Ghazal Part 1 Azad Ghazal.......
Wo yaad aya us ki jafa yaad aai
Bhula k dekha magar apni wafa yaad aai
Khud sy batin karta hun dil sy apny larta hun
Hath zuban sub baagi hein magar dil sy ha awaz aai
Lab o rukhsar ky naqsh or us ki baatin……
Wo garmion ki sham ho ya patjhar ki raatin….
Wo muj sy lab kusha tha mein us mn tha magan…
Na waqat ka khayal tha na ehsas e zaman…..
Rah e mohabat mn bohat aagy nikal aaya
Naa mujh ko nind ati or na he wo so paya….
Har baat mein us ko sochta tha mein….
Har nai lehz mein us ko khojta tha mein…..
Pher youn hua Koch aysa ……
Mein to mein na rha or na he wo mil paya…
Mera aram o sakoon ho gya bojal
Koch b ho na mgar dil mein thi halchal
0 comments:
Post a Comment